Saturday 21 September 2013

Kabhi tairi rafaaqat sey nikalna hi nahin mumkin



Kabhi tairi rafaaqat sey nikalna hi nahin mumkin
,
Kabhi daaman chura laina bohat asaan lagta hey
,
Kabhi tum rothtey ho to ajab mushkil c parti hey,

Kabhi tujhko mana laina bohat asaan lagta hey
,
Kabhi samjha karo kuch faisley halaat kartey hain,

Kabhi waaday nibha laina bohat asaan lagta hey
,
Kabhi kuch din tumharey bin guzertey hi nahin laikin
,
Kabhi muddat bita daina bohat asaan lagta hey..

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...